Sunday, August 25, 2019

Azaad.....


Wo jhoomti hai azaad mohabbat si

uski hasi se jude alfaaz kae
koi kehta hai kuch rehta hai baki
kuch to kehti hai aankhein teri
wo jitna padte hai utna doobte hai
tabhi wo kuch kehti nahi
fanaa ho jao tum bhi kabhi
zindagi yehi azaad mohabbat si.....

                     Sushmita..


Tuesday, December 23, 2014

Intazaar Rahega ( Part 2 )

ye teri narazgi itni gehri thi
ki mujhe rok na saka
gar rokna chaha 
to lafzon ka sath na mila

wo narazgi nahi
tera haq tha mujh par
wo tera nhi
waqt ka kasoor tha 

tu itne kareeb tha 
khud tujhe andaaza nahi
ye mera yakeen hai
tu khud anjaan nahi

jo baat teri jubaan pe aai nahi
wo mujh tak pahunch hi gayi
phir kaise yakeen kar lun
tu paas nahi






















Sushmita...

Monday, September 22, 2014

Intzaar Rahega - Part 1


Intzaar,,,,,,,
   Sham ki chaiii hath me le kar socha... kuch  waqt kisi khaas ke sath guzara jaye... ek shaqs jisko uske pal-pal ki khabar rehti hai. Lo chal diye  phir us jagah jahan aksar mulaqat hua karti thi. Na to pehle wo jagah itni shant  thi na hi aaj.. sukoon bhar ke palon ko khamoshi se dhundhne chaley the  , socha mulaqat hogi to bahut se vakya honge aur sawal jawab ki jhadi lag jayegi... 

   Kadam aage badh rahe the,, jaise kisi khaas se milne jao aur dimag me kai sawal question mark ghoomne lagte hai bilkul wohi chehal-pehal us waqt uske dimag me bhi thi..... aakhirkar pahunch hi gaye.. wo seat aaj bhi yehi kehti hai ki is par bas tumhara hi haq hai jaise wo jagah sirf us hi ke liye bani ho.. bejijhak wo phir se us jagah ja kar baith gyi..  

  "Haaaan",,, ek awaaz sunai di,, jo uske kaano me nahi dimag tak pahunch gyi thi... 
Aksar aisa tabhi hota hai jab koi apka apna kuch kehna shuru karey aur aapka dimag  calculation,duniya daari samaaj sab se door sirf uski baat sunne ke liye ek jagah ekatrit ho jata hai. Bilkul waisa hi ehsaas tha kuch. Ab chehre pe muskurahat na aaye aisa to ho nhi sakta .... per shayad aisa nahi hua..... Ek gehri saans li aur sawal kataar ban kr bikharne lagey... jisko samaitna bahut zaroori tha... aur isi liye to wo aaj shaam ki chaai ka waqt kisi khaas ke sath guzaarne nikli thi.... 

    Waqt to kisi ke liye rukta nahi,,, ghari to ishare karti hi hai par kudrat se bach kar kahan jayenge?? Sham ka dhalta suraj bhi keh raha tha bas Kuch Hi Waqt Hai Is Lamhe Ke Liye....Bina waqt zaya kiye hath me chai le kar baith hi gaye,,, ab jis kaam ke liye aaye wo bhi to karna tha... Garam- Garm Chaaii Ki ek sip lena aur Intzaar karna kabhi kabhi sach me mushkil ho jata hai....... 

     Aur phir ek baar Kuch- Baatein adhoori hi sahi......... Intzaar rahega 





















Sushmita....

Wednesday, June 11, 2014

Chal Chalein..



ye tera waqt bhi kitna keemati ban jata hai kabhi kabhi....
Beetein din ki yaad me bs kuch yunhi ..

ek thehraav tha , umeed thi
par waqt aisa guzarta chala gya 
us parindey ne is nagar aana hi chhor dia...

kabhi to mann kiya
tujhe sanwaar kar 
sahej kar rakhu itne kareeb
ki tera saaya bhi mere saaye se
kuch lafz kehne me sharma jaye
bs ek ehsaas ko jiye... 

tujhse na koi shikayat hai
na narazgi
tera sath bhi bada khoob hai
tu kal bhi tha aaj bhi hai

uski yaadon me shamil
wo waqt kal bhi tha
aur aaj bhi hai
ye waqt kabhi ek sa nahi rehta
phir kyu tu ek hi jagah hai rehta..... 











~ Sushmita...








Thursday, November 22, 2012

Tera Zikr

Ek nazm aisi likhu
Jisme tera zikr ho
Ye baat sirf tere mere
Darmiyan ho


Us me zikr karu
Tere labon pe aai
Har baat ka,
Tere zehan me aaye
Har khayal ka


Teri aankhon se padhu
Jo tham kar tera hath
Phir muskura kar keh dun
Kya kya likhu batao na is baar?


Keh do ki is nazm me
Ho mera hi zikr har baar
Maine to jee li wo shaam
Tumhari nazron se phir ek baar


Jaane do kuch vaakya
rehne do adhure 
Ye baat, ye shaam
Rehne do tere mere hi darmiya


Ek nazm aisi likhu
Jisme tera zikr ho
Tere khayalon ki kalam ho
Aur Yaadon se bhare panne ho.. 


















Sushmita......

Wednesday, June 20, 2012

phir yunhi....

बादलों में छिपी तस्वीर को
खोजती हूँ मैं
उस नारंगी आसमान में
खो जाती हूँ मैं

छप छप की बूंदों से
पेट भरती हरी- हरी पत्तियां
मिट्टी की सोन्दी सोन्दी महक
एहसास लिए फिर
सोचती हूँ मैं ,,

यूँ खुदा भी अपनी कुदरत पर
इतना इतराता होगा ......
जाने कैसे कैसे ख़याल
अपने जेहन में लाता होगा?

कर गरूर तू अपनी कुदरत पर
है सच तो यही
ढूंढ़ लेती हूँ मैं
सौ बहाने जीने को

ज़रा थम जा , ऐ हवा
मेरी सोच ने ले ली है करवट 
मेरा एहसास लिए
तू उसकी ओर जाना

कह देना-
हर शाम होती है मुलाक़ात
तेरे नाम से , तेरे ख्याल से ,,
अब तो लगता है
ये हवा भी करती है साज़िश

हर शाम तू अपने ख्याल में
लेना मेरा नाम
बन कर तेरे चेहरे की मुस्कान
पहुँच जाउंगी तेरे पास ....... 
















Sushmita...


Badalon me chupi tasveer ko
khojti hun main
us naarangi aasman me
kho jati hun main

chhap chhap ki boondon se
pet bharti hari-hari pattiyan
mitti ki sondi sondi mehak
ehsaas liye phir
sochti hun main....

yun Khuda bhi apni kudrat pr
itna itraata hoga
jaane kaise kaise khayal
apne jehan me laata hoga

kar garoor tu apni kudrat pr
hai sach to yahi
dhundh leti hun main 
sou bahaane jeene ko

zara tham ja ae hawa..
meri soch ne le li hai karwatein
mera ehsaas kiye
tu uski aurr jana

keh dena-
har shaam hoti hai mulaqat
tere naam se, tere khayal se
ab to lagta hai
ye hawa bhi karti hai saazish

har shaam tu apne khayal me
lena mera naam
ban kar tere chehre hi muskaan
pahunch jaungi tere paas......

Sushmita...

Tuesday, March 6, 2012

kuch yunhi....


      1:07am , finally apni awaaz record kar ke jab khudh sunne lagi tabhi ek khayal aaya ki poore 3 mahine baad shayad meri awaaz mere listners sun payenge. kaafi time se sab puch rahe hai new RADIO kab launch ho raha hai?? aisa hi khayal chal raha tha jehan me ki 1:22am per mujhe ek kissa yaad aaya..........

       Jab pehli baar maine Ghazal night special show live on- air kiya , show se kuch der pehle tak kuch samajh nahi aa raha tha ki Ghazals to mein sab ko suna dungi per Ghazals ke sath bolungi kya??? bahut socha, phir  khurafaati dimag kaam karne laga aur socha kyu na ek kahaani ya ek pal Ghazal ke sath on-air ki jaaye... Ab wo kahaani / pal kya hoga? kaisa hoga?? ab is uljhan me ulajh gayi... Phir mujhe ek cheej pe behadh pyaar aaya,,,,  ab aap soch rahe honge ...................."Aisa kya hoga"?? to jawaab me KUCH BAATEIN.. 
       
      Wo kehte hai na,, kuch bhi likha hua lekh ya notes hamesha life me kahin na kahin kaam aa hi jaate hai aur mere sath bhi yahi hua... Mera blog, yunhi ek din maine apni life ka ek chota sa pal yaha likha tha . To bas, us 30mins. me mujhe decide karna tha ki kahaani aakhir hogi kya?? kaise kahaani ki shuruwaat hogi aur kahaani ka agla mod kya hoga? aaj tak jitni bhi movies dekhi, real or scripted story padhi/ dekhi un sab ko ek jagah ikattha karna tha aur ek nayi kahaani banani thi..... wo show mera Bhagwaan bharose tha sach.....

        Hahahahha,,,, mein nervous aur sach batau to usse pehle kabhi maine Ghazals suni bhi nahi thi. Bt show karna tha isliye 2 din se sirf aur sirf Ghazals hi suni... Ab aap soch rahe honge ki ye baat kahan se kahan ghum gayi... To mein bata dun,,, baat bilkul sahi direction me jaa rahi hai... wo aise, ki us din jo kahaani maine on-air ki wo adhoori reh gayi thi... Mujhe pata hi nahi chala one and a half  hour kaise beet gaya... mujhe baar baar kaha ja raha tha ki mein apni awaaz me ek song on-air karu... aur us din maine 1 song ke 4 paragraph story ke alag alag mod pe apni awaaz me on-air kiye... "Ye Sama, Sama Hai Ye Pyaar Ka.. Kisi Ke Intazaar Ka , Dil Na Chura Le Kahin Mera Mausam Bahaar ka..............."

         Jo bhi tha , Jaisa bhi show tha maine njoy kia... waise sach batau to Ghazal Night show me 3 alag alag diff. concept ko ek sath mila kar ek show bana kar rakhna thoda mushkil kaam tha, bt maine try zarur kiya... aur mujhe achcha lagta hai... maine diff. diff. concept ke shows kiye.... Us show me to kisi ne mujhse ye bhi pucha tha ki "Sushmita, kya ye aapki story hai" ??????



































Sushmita.....