Wednesday, February 15, 2012

Aise Na Jaao- (2)


फलक की गोद में छुप-छुप  यूँ चाँद झाँक रहा है
देखो तो ज़रा वो मन ही मन धीमे से मुस्कुरा रहा है
कुछ सर्द है, मदहोश है 
मेरे ख्याल में आज भी वही दिन है  
"falak ki god me chup-chup yun chand jhaank raha hai
dekho to zara , wo mann hi mann dheeme se muskura raha hai
kuch sard hai, madhosh hai
mere khayal me aaj bhi wahi din hai" 

   Haan agar is waqt mere paas ek piano hota to mein zarur play karti.... jab bhi mein udaas hoti hun to instrumental music sunti hun....  mujhe sab se zyada instrumental music isliye pasand hai kyunki isko sunte time mera khud ka apna khayal sath hota hai... jo mein soch rahi hun wo dhun ke sath soch sakti hun... Bas kuch time akele rehna chahti hun :'(

      Aaj yaad aata hai apna pehla blog post .. nahi janti thi kya likhna hai, kaise likhna hai, Blog me kya likha jata hai..... ? Bas likh dia... yaad aata hai "AISE NA JAAO" 
      << http://www.sushmita-kuchbaatein.blogspot.in/2009/11/aise-na-jaao_19.html>>

     aakhiri line ko phir aage badhaate huey , mein phir se us jagah aa gayi jahan se maine shuruwaat ki thi..... 
"uljhi hui apne hi khayalon me waha se chalne lagi, AUR HAMESHA KI TARHA PHIR KUCH ADHURA ADHURA REH GYA..
mann kehta reh gaya AISE NA JAAO........ " 


       mein wapas aa to gayi thi us din per adhurey alfaaz, adhurey pal hamesha mujhe wahi le jate hai.. us din bhi mann nahi kiya tha wapas aane ka ... per kaafi waqt hone ki wajah se aana padha... Kyu aisa nahi hota ki samay ko rok sakey. lamhey to aankhon me basa kar apne paas hamesha ke liye rakh lete hai per phir se jeena chahe to ...... waqt ijaazat nahi deta.... badi berukhi si malum padhti hai....

       jab bhi do pal khush hoti hun to aansu baha aati hun, dil kehta hai wo lamha apne sath hi mujhe baha le jaye. phir khamosh... umeed to har koi karta hi hai... jab bhi jaan'na chahu apne dil ko to aankhein band kar leti hun... aur pahunch jati hun ek achche khayal me... ek sukoon hai sach..... ye to mein zaahir kar nahi sakti, per sach hai.. keh to sakti hun.. 

      khamosh hun aaj, phir se wahi jana chahti hun,, is baar rangey huey panno ko palatna nahi chahti,, balki korey panne rangna chahti hun... jahan waqt, tufaani hawa, tej lehrein sab mere sath ho aur sath hi mera sukoon bhi... 

     aaj mein khudh se apni khamoshi se door hona chahti hun,, jisse aane wali subha in sabhi ke sath mujhe wahi sukoon wapas lauta de.....aaj bas isi umeed ke sath jaa rahi hun .... abhi phir se wahi awaaz sunai di "AISE NA JAAO" .. mera mann phir se wahi in sab ke beech reh gya...











Sushmita.....

No comments:

Post a Comment